Tuesday, February 14, 2023

Naya padav

Socha tha samajh badhegi ubharti lakiro me
Ghati nahi Nadaniya lekin badti umra me

Bhatakti leheren kinara dhoondne aati hai pas mere
Aur nakam bhatakta hoon Noor ki talash me

Samandar hoon ye bharam pale baitha hai zamana
lekin Mera vajood Chand ka aks jaise pani me
Gunah ki ijazat hai to inttiha ki jaye
Jisse mohobbat ki use bhula ke kisi aur se ki jaye

Raste chalte to le jaate hamen manjilon ki taraf yahan to humne hi chalkar manjilen naapi hain
 Phir se ek baar loot Jane ki chhahat ki hai
Haar ke ek baar phir Dil lagane ki himakat ki hai
Main to mutmayeen hoon tere khayal ki mehek se
Tujhe kab maine jism banane ki himakat ki hai

किसी और का किस जनम का किया निभा रहा हूं
उसका जन्म बेहेतर हो, ऐसे कर्म जिंदगी किए जा रहा हूं 


No comments: