Saturday, September 14, 2013

My Thoughts

sitaro se ranjish, khuda se inayat aur khud se mohobat magna
agar kamyab hona hoto bas ek junoon mangna.

bikhar gaya asma main suraj sa jo mujhme tha niha
khojne khud ko chala tha mil gaya khuda yahan

deevano sa bhatakta hai kone se lipat jata hai
ye andhera mujh main kaun se noor ki talash karta hai.

todasa tujhmain, thodasa ismain usmain kahin khogaya hoon
ye dunia jeene main shayad mujh se main kahin khogaya hoon

na irade, na karm hosla na kismat hi buland meri
kyon kar ho pekar mere waste main kaunsa khas hogaya hoon

Maut ka chehera raat sa syaha hota hai
jo lipta ho noor main uski kaise raat kaisa sabera hota hai

sanjo kar rakhe the ilm ke here-moti kismat main sajane ko
ye kaisa ishq tameer hua ke bikgaye ye ilm ke kankar-pathar teri ek jhalak pane ko